Dekho Kanha Nahi Maanat Batiya

Udit Narayan and Lata Mangeshkar

dekho kaanha nahi maanat batiyaan 
chaliya chhede baansuriya 
dekho kaanha nahi maanat batiyaan 

bansi baja ke kare barjori 
binati karu par maane nahi mori 
dekho - 
dekho roke hamari dagariya 

jamuna pe aayi bharan gagariya 
jamuna pe aayi bharan ... 

neer bharat jamuna tat par jab bhar bhar neer uthaayi gagar 
tab dagar chalat mohe chhedat langar 
hato jaao ji kunvar, phooti jaat gagar 
mohe chhod chhod maadhav, maadhav, maadhav -3 

jamuna pe aayi bharan gagariya 
main to bholi shyaama gujariya 
bhari gagari pe maare kankariya 
chhaliya chhede baansuriya 
dekho kaanha nahi maanat batiyaan 

deem taare naadir dena dere na 
deem ta deem ta deem naadir dena dere na 
naadir na deem ta deem ta deem ta deem dere na 
dere na deem 
o dir dir taani deem taani deem dere na 
ta deem ta deem ta deem ta deem dere na 
dha kith tak dhum kit tak dhi taa, dha taa, dha ta 
deem taare naadir dena dere na dere na dere na 

gopaal! gopaal! gopaal! 
bin gopaal bhayo braj suno 

kahaan ho gopaal -3 
bin gopaal bhayo braj suno 
madhuvan soono, yamuna suni 
aaj kadam ki chhainya suni 
yashoda ko ghar aangan suno 
nand baaba ki akhiyaan suni 
sooni sooni dadhi ki matakiyaan 
raadha raani ko man suno 
kahaan ho gopaal -3
Página 1 / 1

Letras e título
Acordes e artista

resetar configurações
OK